ajab nahin ki isi baat par laDai ho
muahida ye hua hai ki ab laDenge nahin
Shahzad Ahmad
ajab nahin ki isi baat par laDai ho
muahida ye hua hai ki ab laDenge nahin
Shahzad Ahmad
ajnabi shahron mein tujh ko DhunDhta hun jis tarah
ek gali har shahr mein teri gali jaisi bhi hai
Shahzad Ahmad
apne hi aks ko pani mein kahan tak dekhun
hijr ki sham hai koi to lab-e-ju aae
Shahzad Ahmad
apne liye to KHak ki KHushbu hai zindagi
lazim nahin ki aab-o-hawa KHush-gawar ho
Shahzad Ahmad
apne liye to KHak ki KHushbu hai zindagi
lazim nahin ki aab-o-hawa KHush-gawar ho
Shahzad Ahmad
ahut sharminda hun iblis se main
KHata meri saza us ko mili hai
Shahzad Ahmad

