tera kucha tera dar teri gali kafi hai
be-Thikanon ko Thikane ki zarurat kya hai
Shahid Kabir
wo bhi dharti pe utari hui maKHluq hi hai
jis ka kaTa hua insan na pani mange
Shahid Kabir
wo bhi dharti pe utari hui maKHluq hi hai
jis ka kaTa hua insan na pani mange
Shahid Kabir
koi lahja koi jumla koi chehra nikal aaya
purane taq ke saman se kya kya nikal aaya
Shahid Latif
koi lahja koi jumla koi chehra nikal aaya
purane taq ke saman se kya kya nikal aaya
Shahid Latif
aat hi ke daman mein chand bhi hain tare bhi
raat hi ki qismat hai be-charagh hona bhi
Shahid Latif
sharif log kahan jaen kya karen aaKHir
zamin chiKHti phirti hai aasman chup-chap
Shahid Latif

