kabhi to un ko hamara KHayal aaega
hum is umid pe tark-e-wafa nahin karte
Shafqat Kazmi
nai bahaar ka muzhda baja sahi lekin
abhi to agli bahaaron ka zaKHm taza hai
Shafqat Kazmi
dekh kar mujh ko tujhe kyun hai tahayyur naseh
mashrab-e-ishq hai ye mazhab-e-islam nahin
Shah Aasim
hai ayan ru-e-yar aankhon mein
chhai hai kya bahaar aankhon mein
Shah Aasim
islam aur kufr hamara hi nam hai
kaba kunisht donon mein apna maqam hai
Shah Aasim
kafir-e-ishq hua jab se main is dahr mein hun
hai mere kufr se ye din aur iman nazan
Shah Aasim
kafir-e-ishq hua jab se main is dahr mein hun
hai mere kufr se ye din aur iman nazan
Shah Aasim

