wo naha kar zulf-e-pechan ko jo bikhrane lage
husn ke dariya mein pinhan sanp lahrane lage
Shad Lakhnavi
wo naha kar zulf-e-pechan ko jo bikhrane lage
husn ke dariya mein pinhan sanp lahrane lage
Shad Lakhnavi
qayamat se nahin kam intizar-e-wasl ki lazzat
KHuda jaane kahin wada wafa hota to kya hota
Shafaq Imadpuri
faza-e-shahr baDi KHush-gawar thi lekin
palak jhapakte hi kaisa ajib manzar tha
Shafiq Aazmi
faza-e-shahr baDi KHush-gawar thi lekin
palak jhapakte hi kaisa ajib manzar tha
Shafiq Aazmi
aa gaya tha ek din lab par jafaon ka gila
aaj tak jab un se milte hain to sharmate hain hum
Shafiq Jaunpuri
fareb-e-raushni mein aane walo main na kahta tha
ki bijli aashiyane ki nigahban ho nahin sakti
Shafiq Jaunpuri

