to dekhen aur kisi ko jo wo nahin maujud
to jaen aur kahin us ne jab pukara nahin
Sarfraz Khalid
tum the to har ek dard tumhin se tha ibarat
ab zindagi KHanon mein basar hone lagi hai
Sarfraz Khalid
us se kah do ki mujhe us se nahin milna hai
wo hai masruf to be-kar nahin hun main bhi
Sarfraz Khalid
us se kah do ki mujhe us se nahin milna hai
wo hai masruf to be-kar nahin hun main bhi
Sarfraz Khalid
usi ke KHwab the sare usi ko saunp diye
so wo bhi jit gaya aur main bhi haara nahin
Sarfraz Khalid
usi se puchho use nind kyun nahin aati
ye us ka kaam nahin hai to mera kaam hai kya
Sarfraz Khalid
usi se puchho use nind kyun nahin aati
ye us ka kaam nahin hai to mera kaam hai kya
Sarfraz Khalid

