kisi ne jaan hi luTa di wafaon ki KHatir
tum hi batao ki qissa ye kis kitab ka hai
Sarfraz Khalid
lambi hai bahut aaj ki shab jagne walo
aur yaad mujhe koi kahani bhi nahin hai
Sarfraz Khalid
main apne-ap se aage nikal gaya hun bahut
kisi safar ke hawale ye jism-o-jaan kar ke
Sarfraz Khalid
main apne-ap se aage nikal gaya hun bahut
kisi safar ke hawale ye jism-o-jaan kar ke
Sarfraz Khalid
main jis ko sochta rahta hun kya hai wo aaKHir
mere labon pe jo rahta hai us ka nam hai kya
Sarfraz Khalid
main to ab shahr mein hun aur koi raat gae
chiKHta rahta hai sahra-e-badan ke anda
Sarfraz Khalid
mausam koi bhi ho pe badalta nahin hun main
yani kisi bhi sanche mein Dhalta nahin hun main
Sarfraz Khalid

