dil ne sine mein kuchh qarar liya
jab tujhe KHub sa pukar liya
Salik Lakhnavi
jo teri bazm se uTTha wo is tarah uTTha
kisi ki aankh mein aansu kisi ke daman mein
Salik Lakhnavi
kahi kisi se na rudad-e-zindagi main ne
guzar dene ki shai thi guzar di main ne
Salik Lakhnavi
khanak jate hain jab saghar to pahron kan bajte hain
are tauba baDi tauba-shikan aawaz hoti hai
Salik Lakhnavi
khinch bhi lijiye achchha to hai taswir-e-junun
aap ki bazm mein kya jaaniye kal hon ki na hon
Salik Lakhnavi
mal-o-zar ahl-e-duwal samne yun ginte hain
hum faqiron ne na kuchh sarf kiya ho jaise
Salik Lakhnavi
mahw yun ho gae alfaz-e-dua waqt-e-dua
hath se zarf-e-talab chhuT gaya ho jaise
Salik Lakhnavi

