afta rafta ghul gai meri soch ki barf
yani main KHud ho gaya apne hathon sarf
Saleem Ansari
suraj Duba aur phir utre kale sae
peDon ki aawaz par panchhi wapas aae
Saleem Ansari
yaadon ke sarmae par KHud se mangun byaj
yun apni tanhai ka jashn manaun aaj
Saleem Ansari
yaadon ke sarmae par KHud se mangun byaj
yun apni tanhai ka jashn manaun aaj
Saleem Ansari
main ne to yunhi rakh mein pheri thin ungliyan
dekha jo ghaur se teri taswir ban gai
Saleem Betab
us mulk mein bhi log qayamat ke hain munkir
jis mulk ke har shahar mein ek hashr bapa hai
Saleem Betab
us mulk mein bhi log qayamat ke hain munkir
jis mulk ke har shahar mein ek hashr bapa hai
Saleem Betab

