اردو हिंदी
2 Lines Shayari Shayari | Shaahi Shayari

2 Lines Shayari

22761 Shers

ah-e-hayat chamak uTThe kahkashan ki tarah
agar charagh-e-mohabbat koi jala ke chale

Salam Sandelvi


Tags: | 2 Lines Shayari |


sau bar aai honTon pe jhuTi hansi magar
ek bar bhi na dil se kabhi muskura sake

Salam Sandelvi


Tags: | 2 Lines Shayari |


shabnam ne ro ke ji zara halka to kar liya
gham us ka puchhiye jo na aansu baha sake

Salam Sandelvi




shabnam ne ro ke ji zara halka to kar liya
gham us ka puchhiye jo na aansu baha sake

Salam Sandelvi




tira-o-tar fazaon mein jiya hun ab tak
nikhat-o-nur ke ayyam ki hasrat hi rahi

Salam Sandelvi


Tags: | 2 Lines Shayari |


ye to malum hai un tak na sada pahunchegi
jaane kya soch ke aawaz diye jata hun

Salam Sandelvi




ye to malum hai un tak na sada pahunchegi
jaane kya soch ke aawaz diye jata hun

Salam Sandelvi