mayassar KHud nigah-dari ki aasaish nahin rahti
mohabbat mein to pesh-o-pas ki gunjaish nahin rahti
Saima Esma
na-jaane kaisi nigahon se maut ne dekha
hui hai nind se bedar zindagi ki main hun
Saima Esma
naqsh jab zaKHm bana zaKHm bhi nasur hua
ja ke tab koi masihai pe majbur hua
Saima Esma
hum ko pahle bhi na milne ki shikayat kab thi
ab jo hai tark-e-marasim ka bahana hum se
Sajid Amjad
aur ek choT dijiye mujh ko!
meri taklif na-mukammal hai
Sajid Asar
aisi aag falak se barsegi ek din
KHak hawa pani patthar jal jaenge
Sajid Hameed
dard itna bhi nahin hai ki chhupa bhi na sakun
bojh aisa bhi nahin hai ki uTha bhi na sakun
Sajid Hameed

