achchhi pi li KHarab pi li
jaisi pai sharab pi li
Riyaz Khairabadi
ahl-e-haram se kah do ki bigDi nahin hai baat
sab rind jaante hain abhi parsa mujhe
Riyaz Khairabadi
aisi hi intizar mein lazzat agar na ho
to do ghaDi firaq mein apni basar na ho
Riyaz Khairabadi
allah-re nazuki ki jawab-e-salam mein
hath us ka uTh ke rah gaya mehndi ke bojh se
Riyaz Khairabadi
azan ka kaam chal jae jo naqus-e-barahman se
baDa ye bojh utre ai moazzin teri gardan se
Riyaz Khairabadi
aDe pak tinat baDe saf baatin
'riyaz' aap ko kuchh hamin jaante hain
Riyaz Khairabadi
aghban kaam hamein kya hai wo ujDe ki rahe
jab hamin bagh se nikle to nasheman kaisa
Riyaz Khairabadi

