nukta yahi azal se paDhaya gaya hamein
hawwa barae-husn hai aadam barae-ishq
Rana Amir Liyaqat
qimti shai thi tera hijr uThae rakkha
warna sailab mein saman kahan dekhte hain
Rana Amir Liyaqat
tujh aankh se jhalakta tha ehsas-e-zindagi
main dekhta raha hun tujhe KHak-dan se
Rana Amir Liyaqat
tujh se kahna tha haal-e-dil lekin
tu bhi ai dost aaina nikla
Rana Amir Liyaqat
use pata hai kahan hath thamna hai mera
use pata hai kahan peD sukh jata hai
Rana Amir Liyaqat
wasl nuqsan kar gaya mera
mar gai aaj shaeri meri
Rana Amir Liyaqat
zindagi dekh teri KHas riayat hogi
ek mohabbat hai mere pas agar karne de
Rana Amir Liyaqat

