wo sanp jis ne mujhe aaj tak Dasa bhi nahin
tamam zahr suKHan mein mere usi ka hai
Nomaan Shauque
wo tanz ko bhi husn-e-talab jaan KHush hue
ulTa paDha gaya, mera paigham aur tha
Nomaan Shauque
wo to kahiye aap ki KHushbu ne pahchana mujhe
itr kah kar jaane kya kya bechte attar log
Nomaan Shauque
wo to kahiye aap ki KHushbu ne pahchana mujhe
itr kah ke jaane kya kya bechte attar log
Nomaan Shauque
ye KHwab kaun dikhane laga taraqqi ke
jab aadmi bhi adad mein shumar hone lage
Nomaan Shauque
zara ye hath mere hath mein do
main apni dosti se thak chuka hun
Nomaan Shauque
ek saneha sa dafn hun lekin kabhi kabhi
sadiyon ki qabr se bhi uThaya gaya hun main
Noman Imam

