tabah kar to dun zahir-parast duniya ko
ye aaine bhi mere log hi banate hain
Nomaan Shauque
tauq-e-badan utar ke phenka zamin se dur
duniya ke sath chalne se inkar kar diya
Nomaan Shauque
tere baghair koi aur ishq ho kaise
ki mushrikon ke liye bhi KHuda zaruri hai
Nomaan Shauque
tum to sardi ki hasin dhup ka chehra ho jise
dekhte rahte hain diwar se jate hue hum
Nomaan Shauque
us ka milna koi mazaq hai kya
bas KHayalon mein ji uTha hun main
Nomaan Shauque
us ne hans kar hath chhuDaya hai apna
aaj juda ho jaane mein aasani hai
Nomaan Shauque
wo mere lams se mahtab ban chuka hota
magar mila bhi to jugnu pakaDne walon ko
Nomaan Shauque

