hum mein aur parindon mein farq sirf itna hai
dast-o-pa mile hum ko baal-o-par parindon ko
Mustafa Shahab
haqiqat ko tamashe se juda karne ki KHatir
uTha kar barha parda girana paD gaya hai
Mustafa Shahab
hote hote main pahunch jata hun apne aap tak
is se aage aur koi rasta jata nahin
Mustafa Shahab
is tarah saja rakkhe hain main ne dar-o-diwar
ghar mein teri surat ke siwa kuchh bhi nahin hai
Mustafa Shahab
istiare zamin se jaen
ek ghazal aasman se utre
Mustafa Shahab
kar-e-zindagani ke shor-o-shar mein muddat se
us ko bhul jaane ka ehtimal rahta hai
Mustafa Shahab
kaha tha main ne kho kar bhi tujhe zinda rahunga
wo aisa jhuT tha jis ko nibhana paD gaya hai
Mustafa Shahab

