main ne mana ki dil nahin nakaam
phir mere kaam kyun nahin aata
Mirza Asman Jah Anjum
misal-e-charKH raha aasman sar-gardan
par aaj tak na khula ye ki justuju kya hai
Mirza Asman Jah Anjum
mohabbat is liye zahir nahin ki
ki tum ko e'tibar aae na aae
Mirza Asman Jah Anjum
na puchha us masiha se kisi ne
tere bimar ki bhi kuchh dawa hai
Mirza Asman Jah Anjum
na tasalli na tashaffi na dilasa na wafa
umr ko kaTen tere chahne wale kyun-ka
Mirza Asman Jah Anjum
nahin hai der yahan apni jaan jaane mein
tumhaare aane ka bas intizar baqi hai
Mirza Asman Jah Anjum
naqsh hoti jati hain lakhon buton ki suraten
kya ye dil bhi KHitta-e-hindostan ho jaega
Mirza Asman Jah Anjum

