mohabbat ka rasta ajab garm tha
qadam jab dhara KHak par jal gaya
Meer Hasan
mu se saped ne namak is mein mila diya
kaifiyyat ab rahi nahin jam-e-sharab mein
Meer Hasan
na gharaz mujh ko hai kafir se na din-dar se kaam
roz-o-shab hai mujhe us kakul-e-KHamdar se kaam
Meer Hasan
na leT is tarah munh par zulf ko bikhra ke ai zalim
zara uTh baiTh tu is dam ki donon waqt milte hain
Meer Hasan
naKHun na pahuncha aabla-e-dil talak 'hasan'
hum mar gae ye hum se na aaKHir girah gai
Meer Hasan
naqe se dur rah gaya aaKHir na qais tu
kahte na the ki panw se mat khinch KHar ko
Meer Hasan
nasehon ke hath se chhoDenge rahna shahr ka
dekhte hain aur din do-chaar ab banti nahin
Meer Hasan

