labon pe jaan hai ek dam ka aur mehman hai
mariz-e-ishq-o-mohabbat ka tere haal ye hai
Mardan Ali Khan Rana
le qaza ehsan tujh par kar chale
hum tere aane se pahle mar chale
Mardan Ali Khan Rana
main shauq-e-wasl mein kya rail par shitab aaya
ki subh hind mein tha sham panj-ab aaya
Mardan Ali Khan Rana
maraz-e-ishq ko shifa samjhe
dard ko dard ki dawa samjhe
Mardan Ali Khan Rana
na aai baat tak bhi munh pe roab-e-husn-e-jaanan se
hazaron soch kar mazmun hum darbar mein aae
Mardan Ali Khan Rana
na nikli hasrat-e-dil ek bhi hazar afsos
adam se aae the kya kya hum aarzu karte
Mardan Ali Khan Rana
na puchho ham-safaro mujh se majra-e-watan
watan hai mujh pe fida aur main fida-e-watan
Mardan Ali Khan Rana

