mere raste mein jo raunaq thi mere fan ki thi
mere ghar mein jo andhera tha mera apna tha
Kaifi Wijdani
sirf darwaze talak ja ke hi lauT aaya hun
aisa lagta hai ki sadiyon ka safar kar aaya
Kaifi Wijdani
tu ek qadam bhi jo meri taraf baDha deta
main manzilen teri dahliz se mila deta
Kaifi Wijdani
zamin ke zaKHm samundar to bhar na paega
ye kaam dida-e-tar tujh ko saunpna hoga
Kaifi Wijdani
jaane kya soch ke hum tujh se wafa karte hain
qarz hai pichhle janm ka so ada karte hain
Kailash Mahir
ishta-e-dard ki miras mili hai hum ko
hum tere nam pe jine ki KHata karte hain
Kailash Mahir
tum bhi is shahr mein ban jaoge patthar jaise
hansne wala yahan koi hai na rone wala
Kailash Mahir

