muddat hui ki zinda hun dekhe baghair use
wo shaKHs mere dil se utar to nahin gaya
Javed Naseemi
mujh ko ye mohtat iKHlas-e-nazar achchha laga
us ki duzdida nigahon ka safar achchha laga
Javed Naseemi
palkon pe le ke bojh kahan tak phira karun
a KHwab-e-raegan main bata tera kya karun
Javed Naseemi
sath chawal ke ye kankar bhi nigal jata hai
bhuk mein aadmi patthar bhi nigal jata hai
Javed Naseemi
samajhne se raha qasir ki danista nahin samjha
na jaane kyun hamari pyas ko dariya nahin samjha
Javed Naseemi
zara qarib se dekhun to koi raaz khule
yahan to har koi lagta hai aadmi jaisa
Javed Naseemi
zinda rahne ke liye asbab de
meri aankhon ko tu apne KHwab de
Javed Naseemi

