pahle rakh le tu apne dil par hath
phir mere KHat ko paDh likha kya hai
Ghulam Maula Qalaq
ahm kar maston pe kab tak taq par rakkhega tu
saghar-e-mai saqiya zahid ka iman ho gaya
Ghulam Maula Qalaq
shahr un ke waste hai jo rahte hain tujh se dur
ghar un ka phir kahan jo tere dil mein ghar karen
Ghulam Maula Qalaq
tera diwana to wahshat ki bhi had se nikla
ki bayaban ko bhi chahe hai bayaban hona
Ghulam Maula Qalaq
teri nawed mein har dastan ko sunte hain
teri umid mein har rahguzar ko dekhte hain
Ghulam Maula Qalaq
tujh se ai zindagi ghabra hi chale the hum to
par tashaffi hai ki ek dushman-e-jaan rakhte hain
Ghulam Maula Qalaq
tu dekh to udhar ki jo dekha na jae phir
tu guftugu kare to kabhi guftugu na ho
Ghulam Maula Qalaq

