tera qad sarw sin KHubi mein chaDh hai
laTak sumbul seti zulfan sin baDh hai
Abroo Shah Mubarak
tere ruKHsara-e-simin pe mara zulf ne kunDal
liya hai azhdaha nin chhin yaro mal aashiq ka
Abroo Shah Mubarak
tujh husn ke bagh mein sirijan
KHurshid gul-e-dopahriya hai
Abroo Shah Mubarak
tum nazar kyun churae jate ho
jab tumhein hum salam karte hain
Abroo Shah Mubarak
tum yun siyah-chashm ai sajan mukhDe ke jhumkon se hue
KHurshid nin garmi giri tab to hiran kala hua
Abroo Shah Mubarak
tumhaare dekhne ke waste marte hain hum khal sin
KHuda ke waste hum sin milo aa kar kisi chhal sin
Abroo Shah Mubarak
tumhaare dil mein kya na-mehrbani aa gai zalim
ki yun phenka juda mujh se phaDakti machhli ko jal sin
Abroo Shah Mubarak