ya dupaTTa na lijiye sar par
ya dupaTTa sambhaal kar chaliye
Abdul Hamid Adam
ye kya ki tum ne jafa se bhi hath khinch liya
meri wafaon ka kuchh to sila diya hota
Abdul Hamid Adam
ye roz-marra ke kuchh waqiat-e-shadi-o-gham
mere KHuda yahi insan ki zindagani hai
Abdul Hamid Adam
zaban-e-hosh se ye kufr sarzad ho nahin sakta
main kaise bin piye le lun KHuda ka nam ai saqi
Abdul Hamid Adam
zara ek tabassum ki taklif karna
ki gulzar mein phul murjha rahe hain
Abdul Hamid Adam
zindagi hai ek kirae ki KHushi
sukhte talab ka pani hun main
Abdul Hamid Adam
zindagi zor hai rawani ka
kya thamega bahaw pani ka
Abdul Hamid Adam