dayar-e-ishq mein tanha raha nahin hargiz
KHushi ne hath jo chhoDa to gham ne tham liya
Anisa Begum
jate hi un ke zist ki surat badal gai
allah itni der mein qismat badal gai
Anisa Begum
kya barbaad jin ko wo tamannaen tumhaari thin
na hasrat meri hasrat thi na arman mera arman tha
Anisa Begum
musa nahin ki tab na laun main husn ki
be-parda samne mere tu bhi to aa ke dekh
Anisa Begum
un se izhaar-e-muddaa na kiya
kya kiya main ne hae kya na kiya
Anisa Begum
har ek ko nahin hota irfan mohabbat ka
har ek ko mohabbat ki jagir nahin milti
Anjana Sandhir
punjab ko dekho to ek aag ka dariya hai
kashmir mein jannat ki taswir nahin milti
Anjana Sandhir