meri aarzu ki taskin na karam mein ne sitam mein
mera dil mudam tishna teri rah ke pech-o-KHam mein
Akhtar Orenvi
na mizaj-e-naz-e-jalwa kabhi pa sakin nigahen
ki ulajh ke rah gai hain teri zulf-e-KHam-ba-KHam mein
Akhtar Orenvi
aae adam se ek jhalak dekhne teri
rakkha hi kya tha warna jahan-e-KHarab mein
Akhtar Razaa Saleemi
ab zamin bhi jagah nahin deti
hum kabhi aasman pe rahte the
Akhtar Razaa Saleemi
dil o nigah pe tari rahe fusun us ka
tumhaara ho ke bhi mumkin hai main rahun us ka
Akhtar Razaa Saleemi
dil-o-nigah pe tari rahe fusun us ka
tumhaara ho ke bhi mumkin hai main rahun us ka
Akhtar Razaa Saleemi
guzar raha hun kisi jannat-e-jamal se main
gunah karta hua nekiyan kamata hua
Akhtar Razaa Saleemi