musafiron se mohabbat ki baat kar lekin
musafiron ki mohabbat ka e'tibar na ka
Umar Ansari
tari hai har taraf jo ye aalam sukut ka
tufan ka pesh-KHema samajh KHamushi nahin
Umar Ansari
us ek diye se hue kis qadar diye raushan
wo ek diya jo kabhi baam-o-dar mein tanha tha
Umar Ansari
us ek diye se hue kis qadar diye raushan
wo ek diya jo kabhi baam-o-dar mein tanha tha
Umar Ansari
uTha ye shor wahin se sadaon ka kyun-kar
wo aadmi to suna apne ghar mein tanha tha
Umar Ansari
wahi diya ki thin aajiz hawaen jin se 'umar'
kisi ke phir na jalae jala bujha aisa
Umar Ansari
wahi diya ki thin aajiz hawaen jin se 'umar'
kisi ke phir na jalae jala bujha aisa
Umar Ansari