KHuda-wanda ye kaisi subh-e-gham hai
ujale mein barasti hai siyahi
Siraj Lakhnavi
KHuda-wanda ye kaisi subh-e-gham hai
ujale mein barasti hai siyahi
Siraj Lakhnavi
KHusha wo daur ki jab markaz-e-nigah the hum
paDa jo waqt to ab koi ru-shanas nahin
Siraj Lakhnavi
kuchh aur mangna mere mashrab mein kufr hai
la apna hath de mere dast-e-sawal mein
Siraj Lakhnavi
kuchh aur mangna mere mashrab mein kufr hai
la apna hath de mere dast-e-sawal mein
Siraj Lakhnavi
kyun dhyan baTati hai mera gardish-e-duniya
haT ja ki na farq aae meri laghzish-e-pa mein
Siraj Lakhnavi
lahu mein Dubi hai tariKH-e-KHilqat-e-insan
abhi ye nasl hai shaista-e-hayat kahan
Siraj Lakhnavi