shab o roz jaise Thahar gae koi naz hai na niyaz hai
tere hijr mein ye pata chala meri umr kitni daraaz hai
Shaz Tamkanat
shab o roz jaise Thahar gae koi naz hai na niyaz hai
tere hijr mein ye pata chala meri umr kitni daraaz hai
Shaz Tamkanat
suKHan raaz-e-nashat-o-gham ka parda ho hi jata hai
ghazal kah len to ji ka bojh halka ho hi jata hai
Shaz Tamkanat
un se milte the to sab kahte the kyun milte ho
ab yahi log na milne ka sabab puchhte hain
Shaz Tamkanat
un se milte the to sab kahte the kyun milte ho
ab yahi log na milne ka sabab puchhte hain
Shaz Tamkanat
us ka hona bhi bhari bazm mein hai wajh-e-sukun
kuchh na bole bhi to wo mera taraf-dar lage
Shaz Tamkanat
zindagi hum se tere naz uThae na gae
sans lene ki faqat rasm ada karte the
Shaz Tamkanat