zindagi! tujh sa munafiq bhi koi kya hoga
tera shahkar hun aur tera hi mara hua hun
Ahmad Fareed
ajib wahshaten hisse mein apne aai hain
ki tere ghar bhi pahunch kar sakun na paen hum
Ahmad Hamdani
kyun hamare sans bhi hote hain logon par giran
hum bhi to ek umr le kar is jahan mein aae the
Ahmad Hamdani
tu mayassar tha to dil mein the hazaron arman
tu nahin hai to har ek samt ajab rang-e-malal
Ahmad Hamdani
wo meri rah mein kanTe bichhae main lekin
usi ko pyar karun us pe e'tibar karun
Ahmad Hamdani
aasman khae to zamin dekhe
dahan-e-gor ka niwala hun
Ahmad Husain Mail
agarche wo be-parda aae hue hain
chhupane ki chizen chhupae hue hain
Ahmad Husain Mail