tu bhi sada hai kabhi chaal badalta hi nahin
hum bhi sada hain isi chaal mein aa jate hain
Afzal Khan
tu mujhe tang na kar a dil-e-awara-mizaj
tujh ko is shahr mein lana hi nahin chahiye tha
Afzal Khan
tu roz jis ke tajassus mein aa raha hai yahan
hazar bar bataya hai wo nahin hun mein
Afzal Khan
ye bhi KHud ko hausla dene ka hila hai ki main
ungliyon se likh raha hun chaar su la-taqnatu
Afzal Khan
ye jo kuchh log KHayalon mein raha karte hain
un ka ghar-bar bhi hota hai nahin bhi hota
Afzal Khan
ye kah diya hai mere aansuon ne tang aa kar
hamein ba-waqt-e-zarurat nikaliye saha
Afzal Khan
ye mohabbat ke mahal tamir karna chhoD de
main bhi shahzada nahin hun tu bhi shahzadi nahin
Afzal Khan