aaj kal lucknow mein ai 'aKHtar'
dhum hai teri KHush-bayani ki
Wajid Ali Shah Akhtar
'aKHtar'-e-zar bhi ho mushaf-e-ruKH par shaida
fal ye nek hai quran se hum dekhte hain
Wajid Ali Shah Akhtar
arae-sair mujh sa rind mai-KHane mein gar aae
gire saghar lunDhe shisha hanse saqi bahe dariya
Wajid Ali Shah Akhtar
e-murawwat ho bewafa ho tum
apne matlab ke aashna ho tum
Wajid Ali Shah Akhtar
dar-o-diwar pe hasrat se nazar karte hain
KHush raho ahl-e-watan hum to safar karte hain
Wajid Ali Shah Akhtar
kamar dhoka dahan uqda ghazal aankhen pari chehra
shikam hira badan KHushbu jabin dariya zaban isa
Wajid Ali Shah Akhtar
mujhi ko waiza pand-o-nasihat
kabhi us ko bhi samjhaya to hota
Wajid Ali Shah Akhtar
turab-e-pa-e-hasinan-e-lakhnau hai ye
ye KHaksar hai 'aKHtar' ko naqsh-e-pa kahiye
Wajid Ali Shah Akhtar
ulfat ne teri hum ko to rakkha na kahin ka
dariya ka na jangal ka sama ka na zamin ka
Wajid Ali Shah Akhtar