اردو हिंदी
Suna hai kuch to un ka par isko kya kahiye | Shaahi Shayari
suna hai kuch to un ka par isko kya kahiye

Ghazal

Suna hai kuch to un ka par isko kya kahiye

Wajid Ali Shah Akhtar

;

suna hai kuch to un ka par is ko kya kahiye
zaban-e-KHalq ko naqqara-e-KHuda kahiye

misi laga ke siyahi se kyun Daraate ho
andheri raaton ka hum se to majra kahiye

hazar raaten bhi guzrin yahi kahani ho
tamam kijiye is ko na kuchh siwa kahiye

hua hai ishq mein KHasan-e-haq ka rang safed
ye qatl-e-am nahin shoKHi-e-hina kahiye

turab-e-pa-e-hasinan-e-lakhnau hai ye
ye KHaksar hai 'aKHtar' ko naqsh-e-pa kahiye