sath hone ke yaqin mein bhi mere sath ho tum
aur na hone ke bhi imkan mein rakkha hai tumhein
Tariq Qamar
main chahta hun kabhi yun bhi ho ki meri tarah
wo mujh ko DhunDne nikle magar na pae mujhe
Tariq Qamar
mere zaKHmon ka sabab puchhegi duniya tum se
main ne har zaKHm ki pahchan mein rakkha hai tumhein
Tariq Qamar
mizaj apna mila hi nahin zamane se
na main hua kabhi is ka na ye zamana mera
Tariq Qamar
phir aaj bhuk hamara shikar kar legi
ki raat ho gai dariya mein jal Dale hue
Tariq Qamar
wo log bhi to kinaron pe aa ke Dub gae
jo kah rahe the samundar hain sab khangale hue
Tariq Qamar
zehn par bojh raha, dil bhi pareshan hua
in baDe logon se mil kar baDa nuqsan hua
Tariq Qamar
ye kis ki pyas ke chhinTe paDe hain pani par
ye kaun jabr ka qissa tamam kar aaya
Tariq Qamar
kya ajab log the guzre hain baDi shan ke sath
raste chup hain magar naqsh-e-qadam bolte hain
Tariq Qamar

