subu uTha ki ye nazuk maqam hai saqi
na ahrman hai na yazdan hai dekhiye kya ho
Syed Aabid Ali Aabid
shara-o-ain ki tazir ke ba-wasf shabab
lab-o-ruKHsar ki jaanib nigaran hai ki jo tha
Syed Aabid Ali Aabid
shab-e-hijran ki daraazi se pareshan na tha
ye teri zulf-e-rasa hai mujhe malum na tha
Syed Aabid Ali Aabid
saqiya hai teri mahfil mein KHudaon ka hujum
mahfil-afroz ho insan to maza aa jae
Syed Aabid Ali Aabid
mujhe dhoka hua ki jadu hai
paon bajte hain tere bin chhagal
Syed Aabid Ali Aabid
aaj aaya hai apna dhyan hamein
aaj dil ke nagar se guzre hain
Syed Aabid Ali Aabid
mera jina hai sej kanTon ki
un ke marne ka nam taj-mahal
Syed Aabid Ali Aabid
kuchh ehtiram bhi kar gham ki waza-dari ka
giran hai arz-e-tamanna to bar bar na ka
Syed Aabid Ali Aabid
koi barsa na sar-e-kisht-e-wafa
kitne baadal guhar-afshan guzre
Syed Aabid Ali Aabid

