main jitna DhunDhta hun us ko utna hi nahin pata
kidhar hai kis taraf hai aur kahan hai dil KHuda jaane
Shaikh Zahuruddin Hatim
main jaan-ba-lab hun ai taqdir tere hathon se
ki tere aage meri kuchh na chal saki tadbi
Shaikh Zahuruddin Hatim
malum hai kisu ko ki wo aaj shoala-KHu
hum ko jala ke aag lagane kidhar gae
Shaikh Zahuruddin Hatim
nazar mein us ki jo chaDhta hai so jita nahin bachta
hamara sanwla us shahr ke goron mein kala hai
Shaikh Zahuruddin Hatim
aat din jari hain kuchh paida nahin in ka kanar
mere chashmon ka do-aba majma-ul-bahrain hai
Shaikh Zahuruddin Hatim
ah mein gham-zada-e-ishq ko kya Toko ho
apni haalat mein giraftar chala jata hai
Shaikh Zahuruddin Hatim
qurban sau tarah se kiya tujh par aap ko
tu bhi kabhu to jaan na aaya bajae id
Shaikh Zahuruddin Hatim
qissa-e-majnun-o-farhad bhi ek parda hai
jo fasana hai yahan sharh-o-bayan hai apna
Shaikh Zahuruddin Hatim
qayamat tak juda howe na ya-rab
junun ke dast se mera gareban
Shaikh Zahuruddin Hatim

