kuchh aur bhi darkar tha sab kuchh ke alawa
kya hoga jise DhunDta tha tere siwa main
Saud Usmani
aaKHir ek roz utarni hai libaadon ki tarah
tan-e-malbus! ye pahni hui uryani bhi
Saud Usmani
KHwahish hai ki KHud ko bhi kabhi dur se dekhun
manzar ka nazara karun manzar se nikal ka
Saud Usmani
itni siyah-raat mein itni si raushni
ye chand wo nahin mera mahtab aur hai
Saud Usmani
har shai se palaT rahi hain nazren
manzar koi jam nahin raha hai
Saud Usmani
har ek ufuq pe musalsal tulua hota hua
main aaftab ke manind rahguzar mein tha
Saud Usmani
hairat se takta hai sahra barish ke nazrane ko
kitni dur se aai hai ye ret se hath milane ko
Saud Usmani
arun-e-KHak faqat chand Thekre hain magar
yahan se shahr milenge agar khudai hui
Saud Usmani
ahut dinon mein mere ghar ki KHamoshi TuTi
KHud apne-ap se ek din kalam main ne kiya
Saud Usmani