pahle chadar ki hawas mein panw phailae bahut
ab ye dukh hai panw kyun chadar se bahar aa gaya
Sajjad Baqar Rizvi
phir zehn ki galiyon mein sada gunji hai koi
phir soch rahe hain kahin aawaz suni hai
Sajjad Baqar Rizvi
phirti thi le ke shorish-e-dil ku-ba-ku hamein
manzil mili to shorish-e-dil ka pata na tha
Sajjad Baqar Rizvi
saman-e-dil ko be-sar-o-samaniyan milin
kuchh aur bhi jawab the mere sawal ke
Sajjad Baqar Rizvi
shahr ke aabaad sannaTon ki wahshat dekh kar
dil ko jaane kya hua main sham se ghar aa gaya
Sajjad Baqar Rizvi
TuT paDti thin ghaTaen jin ki aankhen dekh kar
wo bhari barsat mein tarse hain pani ke liye
Sajjad Baqar Rizvi
zulfen idhar khulin adhar aansu umanD paDe
hain sab ke apne apne rawabit ghaTa ke sath
Sajjad Baqar Rizvi