dil-e-viran ko dekhte kya ho
ye wahi aarzu ki basti hai
Saifuddin Saif
dushman gae to kashmakash-e-dosti gai
dushman gae ki dost hamare chale gae
Saifuddin Saif
aaj ki raat wo aae hain baDi der ke baad
aaj ki raat baDi der ke baad aai hai
Saifuddin Saif
hamein KHabar hai wo mehman ek raat ka hai
hamare pas bhi saman ek raat ka hai
Saifuddin Saif
husn jalwa dikha gaya apna
ishq baiTha raha udas kahin
Saifuddin Saif
ji nahin aap se kya mujh ko shikayat hogi
han mujhe talKHi-e-haalat pe rona aaya
Saifuddin Saif
jis din se bhula diya hai tu ne
aata hi nahin KHayal apna
Saifuddin Saif
kabhi jigar pe kabhi dil pe choT paDti hai
teri nazar ke nishane badalte rahte hain
Saifuddin Saif
kaise jite hain ye kis tarah jiye jate hain
ahl-e-dil ki basar-auqat pe rona aaya
Saifuddin Saif