gham-gusaro bahut udas hun main
aaj bahla sako to aa jao
Saifuddin Saif
aaj ki raat wo aae hain baDi der ke baad
aaj ki raat baDi der ke baad aai hai
Saifuddin Saif
dil-e-viran ko dekhte kya ho
ye wahi aarzu ki basti hai
Saifuddin Saif
dil-e-nadan teri haalat kya hai
tu na apnon mein na beganon mein
Saifuddin Saif
dil ne paya qarar pahlu mein
gardish-e-kaenat KHatm hui
Saifuddin Saif
chalo mai-kade mein basera hi kar lo
na aana paDega na jaana paDega
Saifuddin Saif
ole wo kuchh aisi be-ruKHi se
dil hi mein raha sawal apna
Saifuddin Saif
apni wusat mein kho chuka hun main
rah dikhla sako to aa jao
Saifuddin Saif
aise lamhe bhi guzare hain teri furqat mein
jab teri yaad bhi is dil pe giran guzri hai
Saifuddin Saif