na ab wo shiddat-e-awargi na wahshat-e-dil
hamare nam ki kuchh aur shohraten bhi gain
Sahar Ansari
sada apni rawish ahl-e-zamana yaad rakhte hain
haqiqat bhul jate hain fasana yaad rakhte hain
Sahar Ansari
shayad ki wo waqif nahin aadab-e-safar se
pani mein jo qadmon ke nishan DhunD raha tha
Sahar Ansari
shikwa-e-talKHi-e-haalat baja hai lekin
is pe rota hun ki main ne bhi rulaya hai tujhe
Sahar Ansari
tang aate bhi nahin kashmakash-e-dahr se log
kya tamasha hai ki marte bhi nahin zahr se log
Sahar Ansari
teri aarzu se bhi kyun nahin gham-e-zindagi mein koi kami
ye sawal wo hai ki jis ka ab koi ek jawab nahin raha
Sahar Ansari
ye marna jina bhi shayad majburi ki do lahren hain
kuchh soch ke marna chaha tha kuchh soch ke jina chaha hai
Sahar Ansari