ajib hote hain aadab-e-ruKHsat-e-mahfil
ki wo bhi uTh ke gaya jis ka ghar na tha koi
Sahar Ansari
dilon ka haal to ye hai ki rabt hai na gurez
mohabbaten to gain thi adawaten bhi gain
Sahar Ansari
hum ko jannat ki faza se bhi ziyaada hai aziz
yahi be-rang si duniya yahi be-mehr se log
Sahar Ansari
jaane kyun rang-e-baghawat nahin chhupne pata
hum to KHamosh bhi hain sar bhi jhukae hue hain
Sahar Ansari
jise guzar gae hum baDe hunar ke sath
wo zindagi thi hamari hunar na tha koi
Sahar Ansari
kaisi kaisi mahfilen suni huin
phir bhi duniya kis qadar aabaad hai
Sahar Ansari
mahfil-arai hamari nahin ifraat ka nam
koi ho ya ki na ho aap to aae hue hain
Sahar Ansari
maut ke baad zist ki bahs mein mubtala the log
hum to 'sahar' guzar gae tohmat-e-zindagi uThae
Sahar Ansari
mere lahu ko meri KHak-e-naguzir ko dekh
yunhi saliqa-e-arz-e-hunar nahin aaya
Sahar Ansari