ye kinaron se khelne wale
Dub jaen to kya tamasha ho
Saghar Siddiqui
zindagi jabr-e-musalsal ki tarah kaTi hai
jaane kis jurm ki pai hai saza yaad nahin
Saghar Siddiqui
zulf-e-barham ki jab se shanasa hui
zindagi ka chalan mujrimana hua
Saghar Siddiqui
chhalke hue the jam pareshan thi zulf-e-yar
kuchh aise hadsat se ghabra ke pi gaya
Saghar Siddiqui
aaj phir bujh gae jal jal ke umidon ke charagh
aaj phir taron bhari raat ne dam toD diya
Saghar Siddiqui
ab apni haqiqat bhi 'saghar' be-rabt kahani lagti hai
duniya ki haqiqat kya kahiye kuchh yaad rahi kuchh bhul gae
Saghar Siddiqui
ab kahan aisi tabiat wale
choT kha kar jo dua karte the
Saghar Siddiqui
ab na aaenge ruThne wale
dida-e-ashk-bar chup ho ja
Saghar Siddiqui
ai adam ke musafiro hoshiyar
rah mein zindagi khaDi hogi
Saghar Siddiqui