aiThe the jab to sare parinde the sath sath
uDte hi shaKH se kai samton mein baT gae
Saghar Azmi
dewta mere aangan mein utrenge kab zindagi bhar yahi sochta rah gaya
mere bachchon ne to chand ko chhu liya aur main chand ko pujta rah gaya
Saghar Azmi
itna naraaz ho kyun us ne jo patthar phenka
us ke hathon se kabhi phul bhi aaya hoga
Saghar Azmi
kashmir ki wadi mein be-parda jo nikle ho
kya aag lagaoge barfili chaTanon mein
Saghar Azmi
kis tarah bhulaen hum is shahr ke hangame
har dard abhi baqi hai har zaKHm abhi taza hai
Saghar Azmi
mujh mein aur tujh mein hai ye farq to ab bhi qaim
tu mujhe chahe magar tujh ko zamana chahe
Saghar Azmi
sham Dhale ye soch ke baiThe hum apni taswir ke pas
sari ghazlen baiThi hongi apne apne mir ke pas
Saghar Azmi
shohrat ki fazaon mein itna na uDo 'saghar'
parwaz na kho jae in unchi uDanon mein
Saghar Azmi
tum kya jaano apne aap se kitna main sharminda hun
chhuT gaya hai sath tumhaara aur abhi tak zinda hun
Saghar Azmi