maza paDa hai qanaat ka ahd-e-tifli se
main ser ho ke na pita tha shir-e-madar ko
Rind Lakhnavi
pher lata hai KHat-e-shauq mera ho ke tabah
zabh kar Dalunga ab ki jo kabutar bahka
Rind Lakhnavi
paron ko khol de zalim jo band karta hai
qafas ko le ke main uD jaunga kahan sayyaad
Rind Lakhnavi
pas-e-din kufr mein bhi tha malhuz
but ko puja KHuda KHuda kar ke
Rind Lakhnavi
panw ke hath se gardish hi rahi mujh ko mudam
chaak ki tarah se kis roz mera sar na phira
Rind Lakhnavi
naz-e-beja uThaiye kis se
ab na wo dil na wo dimagh raha
Rind Lakhnavi
muzhda-baad ai baada-KHwaro daur-e-waiz ho chuka
madrase khode gae tamir mai-KHana hua
Rind Lakhnavi
laegi gardish mein tujh ko bhi meri aawargi
ku-ba-ku main hun to tu bhi dar-ba-dar ho jaega
Rind Lakhnavi
laila majnun ka raTti hai nam
diwani hui hai bak rahi hai
Rind Lakhnavi

