na kaba hai yahan mere na hai but-KHana pahlu mein
liya kis ghar base ne aah aa kar KHana pahlu mein
Raza Azimabadi
kya kahen apni siyah-baKHti hi ka andher hai
warna sab ki hijr ki raat aisi kali bhi nahin
Raza Azimabadi
kis tarah 'raza' tu na ho dhawane zamana
jab dil sa teri baiTha ho badnam baghal mein
Raza Azimabadi
KHwah kafir mujhe kah KHwah musalman ai shaiKH
but ke hathon mein bika ya hun KHuda ki saugand
Raza Azimabadi
aisa kisi se junun dast-o-gareban na ho
chaak-e-gareban ka bhi chaak gareban kiya
Raza Azimabadi
kabe mein shaiKH mujh ko samjhe zalil lekin
sau shukr mai-kade mein hai e'tibar apna
Raza Azimabadi
kaba o dair jidhar dekha udhar kasrat hai
aah kya jaane kidhar gosha-e-tanhai hai
Raza Azimabadi
jis tarah hum rahe duniya mein hain us tarah 'raza'
shaiKH but-KHane mein kabe mein barahman na raha
Raza Azimabadi
is chashm o dil ne kahna na mana tamam umr
hum par KHarabi lai ye ghar hi ki phuT-phaT
Raza Azimabadi

