hua hai saKHt mushkil dafan hona tere wahshi ka
jahan par qabr khodi jati hai patthar nikalte hain
Rasheed lakhnavi
ai gul-andam ye hai fasl-e-jawani ka uruj
husn ka rang Tapakne ko hai ruKHsaron se
Rasheed lakhnavi
hamari zindagi-o-maut ki ho tum raunaq
charagh-e-bazm bhi ho aur charagh-e-fan bhi ho
Rasheed lakhnavi
hans hans ke kah raha hai jalana sawab hai
zalim ye mera dil hai charagh-e-haram nahin
Rasheed lakhnavi
gae the hazrat-e-zahid to zard tha chehra
sharab-KHane se nikle to surKH-ru nikle
Rasheed lakhnavi
donon aankhen dil jigar hain ishq hone mein sharik
ye to sab achchhe rahenge mujh par ilzam aaega
Rasheed lakhnavi
dil hai shauq-e-wasl mein muztar nazar mushtaq-e-did
jo hai mashghul apni apni sai-e-la-hasil mein hai
Rasheed lakhnavi
dekhiye lazim-o-malzum ise kahte hain
dil hai daghon ke liye dagh mere dal ke liye
Rasheed lakhnavi
uton ke dil mein hamari kuchh ab hui hai jagah
KHuda ne rahm kiya warna mar gae hote
Rasheed lakhnavi