masale hal karte karte aadmi ka zehan bhi
be-tarah uljha hua ek masala ho jaega
Rana Gannauri
ahe KHayal hiqarat se dekhne walo
haqir log baDe aadmi nikalte hain
Rana Gannauri
akhna hamesha yaad ye mera kaha hua
aata nahin hai luT ke pani baha hua
Rana Gannauri
akho tum band be-shak apni ghaDiyan
samay to raat din chalta rahega
Rana Gannauri
tumhaari rah mein aankhen bichhae baiTha hun
tumhaare aane ki haalanki koi aas nahin
Rana Gannauri
tumhein ai kash koi raaz ye samjha gaya hota
agar sunte to kahne ka saliqa aa gaya hota
Rana Gannauri
zindagi ka bhi kiya bharosa hai
zindagi ki qasam bhi kya khaun
Rana Gannauri