hath uThata hai duaon ko falak bhi us dam
jab parinda koi parwaz ko par taulta hai
Rajesh Reddy
ab to sarab hi se bujhane lage hain pyas
lene lage hain kaam yaqin ka guman se hum
Rajesh Reddy
aDi taswir laTka di hai apni
jahan chhoTa sa aaina tha pahle
Rajesh Reddy
ahana koi to ai zindagi de
ki jine ke liye majbur ho jaun
Rajesh Reddy
ulandi ke liye bas apni hi nazron se girna tha
hamari kam-nasibi hum mein kuchh ghairat ziyaada thi
Rajesh Reddy
dil bhi bachche ki tarah zid pe aDa tha apna
jo jahan tha hi nahin us ko wahin DhunDhna tha
Rajesh Reddy
dil bhi ek zid pe aDa hai kisi bachche ki tarah
ya to sab kuchh hi ise chahiye ya kuchh bhi nahin
Rajesh Reddy
doston ka kya hai wo to yun bhi mil jate hain muft
roz ek sach bol kar dushman kamane chahiyen
Rajesh Reddy
gham bik rahe the mele mein KHushiyon ke nam par
mayus ho ke lauTe hain har ek dukan se hum
Rajesh Reddy