KHamosh zindagi jo basar kar rahe hain hum
gahre samundaron mein safar kar rahe hain hum
Rais Amrohvi
kis ne dekhe hain teri ruh ke riste hue zaKHm
kaun utra hai tere qalb ki gahrai mein
Rais Amrohvi
pahle bhi KHarab thi ye duniya
ab aur KHarab ho gai hai
Rais Amrohvi
pahle ye shukr ki hum hadd-e-adab se na baDhe
ab ye shikwa ki sharafat ne kahin ka na rakha
Rais Amrohvi
sadiyon tak ehtimam-e-shab-e-hijr mein rahe
sadiyon se intizar-e-sahar kar rahe hain hum
Rais Amrohvi
sirf tariKH ki raftar badal jaegi
nai tariKH ke waris yahi insan honge
Rais Amrohvi
Tahni pe KHamosh ek parinda
mazi ke ulaT raha hai dafta
Rais Amrohvi