aadmi ki talash mein hai KHuda
aadmi ko KHuda nahin milta
Rais Amrohvi
ab dil ki ye shakl ho gai hai
jaise koi chiz kho gai hai
Rais Amrohvi
abhi se shikwa-e-past-o-buland ham-safro
abhi to rah bahut saf hai abhi kya hai
Rais Amrohvi
apne ko talash kar raha hun
apni hi talab se Dar raha hun
Rais Amrohvi
chand benam-o-nishan qabron ka
main aza-dar hun ya hai mera dil
Rais Amrohvi
dil kai roz se dhaDakta hai
hai kisi hadse ki tayyari
Rais Amrohvi
dil se mat sarsari guzar ki 'rais'
ye zamin aasman se aati hai
Rais Amrohvi
hum apne haal-e-pareshan pe barha roe
aur us ke baad hansi hum ko barha aai
Rais Amrohvi
hum apni zindagi to basar kar chuke 'rais'
ye kis ki zist hai jo basar kar rahe hain hum
Rais Amrohvi